dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya 
main khuli-ankh hasin KHwab ko chhu kar aaya 
us ko chhu kar mujhe mahsus hua hai aise 
jaise main resham-o-kim-KHwab ko chhu kar aaya 
mujh ko malum hai poron ke damakne ka jawaz 
raat main KHwab mein mahtab ko chhu kar aaya 
jism ke sath meri ruh bhi nam hone lagi 
jab se us dida-e-pur-ab ko chhu kar aaya 
ruh ki kai isi taur se chhaTna thi so main 
subh-dam mimbar-o-mehrab ko chhu kar aaya 
murtaish kirnon ka raqs ek ghaDi bhi na thame 
chand kis tarz ke talab ko chhu kar aaya
        Ghazal
Dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya
Ahmad Khayal

