dasht mein pyas bujhate hue mar jate hain
hum parinde kahin jate hue mar jate hain
hum hain sukhe hue talab pe baiThe hue hans
jo talluq ko nibhate hue mar jate hain
ghar pahunchta hai koi aur hamare jaisa
hum tere shahr se jate hue mar jate hain
kis tarah log chale jate hain uTh kar chup-chap
hum to ye dhyan mein late hue mar jate hain
un ke bhi qatl ka ilzam hamare sar hai
jo hamein zahr pilate hue mar jate hain
ye mohabbat ki kahani nahin marti lekin
log kirdar nibhate hue mar jate hain
hum hain wo TuTi hui kashtiyon wale 'tabish'
jo kinaron ko milate hue mar jate hain
Ghazal
Dasht mein pyas bujhate hue mar jate hain
Abbas Tabish