dasht mein pahle wo samundar chamkata hai
tab phir sine mein KHanjar chamkata hai
bhiD se wo karta hai mujhe kuchh aise juda
bar neze par mera sar chamkata hai
bhed kholta hai wo yun apne hone ka
har aane wale ka ghar chamkata hai
dekhun wo kab karta hai zang-e-ana kafur
dekhun wo kab mera andar chamkata hai
warna kya miTTi kya miTTi ki kaya
kuchh to hai jo wo zamin par chamkata hai
tare suraj phul samundar chiDiya mein
wo kaise kaise manzar chamkata hai
wo kab rahne deta hai mujh ko akela 'tur'
aankh ek nilam si shab bhar chamkata hai

Ghazal
Dasht mein pahle wo samundar chamkata hai
Krishna Kumar Toor