dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju
ab kahan le ja raha hai ai fareb-e-rang-o-bu
aap itna to bata den kab karam hoga huzur
kab murawwat mein badal jaegi ye nafrat ki KHu
sadgi-e-dil pe apni rashk aata hai mujhe
ek wafa na-ashna se hai wafa ki aarzu
ishq ki manzil mein lakhon karwan gum ho gae
rahraw-e-rah-e-mohabbat kya karenge justuju
rah gae hain ab to le de kar dil-e-barbaad mein
hasrat-e-didar ka gham aur teri aarzu
de rahi hai apne daman ki hawa baad-e-sahar
teri zulf-e-ambarin hai ek jahan-e-rang-o-bu
jab kabhi saqi ne 'jafar' apni nazren pher lin
mai-kade mein pi liya hai main ne arman ka lahu
Ghazal
Dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju
Jafar Abbas Safvi