dasht mein ghas ka manzar bhi mujhe chahiye hai
sar chhupane ke liye ghar bhi mujhe chahiye hai
thoDi tadbir ki saughat hai matlub mujhe
aur thoDa sa muqaddar bhi mujhe chahiye hai
tairne ke liye dariya bhi hai kafi lekin
shauq kahta hai samundar bhi mujhe chahiye hai
sirf diwaron se hoti nahin ghar ki takmil
chhat bhi darkar hai aur dar bhi mujhe chahiye hai
gahe footpath bichha kar bhi main so jaunga
gahe ek maKHmalin bistar bhi mujhe chahiye hai
teri masum adai bhi sar aankhon pe magar
tujh mein ek shoKH sitamgar bhi mujhe chahiye hai
chahiye hai kabhi rela bhi mujhe sardi ka
aur kabhi dhup ka lashkar bhi mujhe chahiye hai
istiare bhi zaruri hain suKHan mein lekin
sher mein sanat-e-paikar bhi mujhe chahiye hai
guftugu kis se karen baunon ki basti mein 'KHumar'
baat karni hai to ham-sar bhi mujhe chahiye hai
Ghazal
Dasht mein ghas ka manzar bhi mujhe chahiye hai
Suleman Khumar