dasht mein chhanw koi DhunD nikali jae
apni hi zat ki diwar bana li jae
ye to mumkin hai ki diwar gira den lekin
kaise girti hui diwar sambhaali jae
DhunDhna hoga KHad-o-KHal ki duniya mein jise
pahle us shaKHs ki taswir bana li jae
dil ho faiyyaz to bas ek hi dar kafi hai
kya zaruri hai ki har dar pe sawali jae
tum jo bole to mili zauq-e-ana ko taskin
mujh ko Dar tha meri aawaz na KHali jae
likh to den har dar-o-diwar pe 'abid' lekin
baat aisi hai ki sine mein chhupa li jae
Ghazal
Dasht mein chhanw koi DhunD nikali jae
Abid Karhani