dasht kya shai hai junun kya hai diwane ke liye
shahr kya kam hai mujhe KHak uDane ke liye
hum ne kya jaaniye kya soch ke gulshan chhoDa
fasl-e-gul der hi kya thi tere aane ke liye
main sarae ke nigahban ki tarah tanha hun
hae wo log ki jo aae the jaane ke liye
hum wahi soKHta-saman-e-azal hain ki jinhen
zindagi dur tak aai thi manane ke liye
dil ki mehrab ko darkar hai ek shama faqat
wo jalane ke liye ho ki bujhane ke liye
tu meri yaad se ghafil na teri yaad se main
ek dar-parda kashakash hai bhulane ke liye
zabt-e-paiham ke nisar ai dil-e-azar-talab
shart-e-daman bhi uTha ashk bahane ke liye
sun mujhe ghaur se sun naghma-e-na-paida hun
koi aamada nahin saz uThane ke liye
harf-e-na-gufta ki rudad liye phirte hain
pahle kahte the ghazal un ko sunane ke liye
dil ki daryuza-gar-e-harf-e-tasalli na raha
hum ne ye rasm uTha di hai zamane ke liye
sans roke hue phirta hun bhare shahr mein 'shaz'
us ne kya raaz diya mujh ko chhupane ke liye
Ghazal
Dasht kya shai hai junun kya hai diwane ke liye
Shaz Tamkanat