dasht ko ja to rahe ho soch lo kaisa lagega
sab udhar hi ja rahe hain dasht mein mela lagega
tir ban kar KHair se har dil pe jab sidha lagega
sher mera dushmanon ko bhi bahut achchha lagega
KHair hashr-e-arzu par to tumhaara bas nahin hai
aarzu to kar lo yaro aarzu mein kya lagega
fasl-e-gul jo kar rahi hai samne hai dekh lije
main karunga kuchh to nam ab meri wahshat ka lagega
nsibatan hi Thik hoti hai nazar ki baat maslan
hum nahin honge to har kotah qad lamba lagega
sarsari andaz se dekhoge to mahfil hi mahfil
ghaur se dekhoge to har aadmi tanha lagega
zindagi par ghaur karna chhoD doge jab 'shuja'
aah bhi degi maza aur dard bhi miTha lagega
Ghazal
Dasht ko ja to rahe ho soch lo kaisa lagega
Shuja Khaavar