dasht ko DhunDne niklun to jazira nikle
panw rakhkhun jo main virane mein duniya nikle
ek biphra hua dariya hai mere chaar taraf
tu jo chahe isi tufan se kinara nikle
ek mausam hai dil o jaan pe faqat din ho ki raat
aasman koi ho dil par wahi tara nikle
dekhta hun main teri rah mein dam-e-hairat
raushni raat se aur dhup se saya nikle
is se pahle ye kabhi dil ne kaha hi kab tha
raat kuchh aur baDhe chand dobara nikle
aankh jhukti hai to milti hai KHamoshi ko zaban
band honTon se koi bolta dariya nikle
ishq ek aisi haweli hai ki jis se bahar
koi darwaza khule aur na daricha nikle
sehr ne tere ajab rah sujhai hamdam
hum kahan jaane ko nikle the kahan aa nikle
Ghazal
Dasht ko DhunDne niklun to jazira nikle
Akram Naqqash