dasht ki pyas kisi taur bujhai jati
koi taswir hi pani ki dikhai jati
ek dariya chala aaya hai mere sath ise
rokne ke liye diwar uThai jati
hum nae naqsh banane ka hunar jaante hain
aisa hota to nai shakl banai jati
ab ye aansu hain ki rukte hi nahin hain hum se
dil ki aawaz hi pahle na sunai jati
sirf aazar uThane ki hamein aadat hai
hum pe saya nahin diwar girai jati
Ghazal
Dasht ki pyas kisi taur bujhai jati
Ramzi Asim