dasht ki pyas baDhane ke liye aae the
abr bhi aag lagane ke liye aae the
aise lagta hai ki hum hi se koi bhul hui
tum kisi aur zamane ke liye aae the
apni pathrai hui aankhon ko jhapken kaise
jo tera aks churane ke liye aae the
mauj-dar-mauj hua aab-e-rawan qaus-e-quzah
tare aankhon mein nahane ke liye aae the
log kahte hi rahe 'sad' batao kuchh to
hum ki bas ashk bahane ke liye aae the

Ghazal
Dasht ki pyas baDhane ke liye aae the
Saadullah Shah