dasht ki aawargi ho chaak-damani bhi ho
ishq hai dil mein to wahshat ki farawani bhi ho
rahat-e-qalb-o-nazar tum ho tashaffi bhi tumhi
aur tum mere liye wajh-e-pareshani bhi ho
sukhi aankhon se taka karte hain su-e-asman
girya karne ko hamari aankhon mein pani bhi ho
kam se kam ye phone hi ka silsila baqi rahe
hijr mushkil hai magar kuchh is mein aasani bhi ho
kaisi kaisi KHwahishen is dil mein pati hain wajud
ho angeThi tum bhi ho aur raat barfani bhi ho
dil dua-go hai 'shakil-athar' ki is ki taba mein
hoshiyari hi nahin thoDi si nadani bhi ho
Ghazal
Dasht ki aawargi ho chaak-damani bhi ho
athar shakeel