dasht ke KHema-e-dariya mein makin koi tha
tishnagi tere tamashe mein kahin koi tha
zindagi jama-e-taskin mein raKHshanda thi
dur tak halqa-e-daman mein nahin koi tha
kitni rahon ka safar dida-e-iman ne kiya
qabil-e-did safar-bar yahin koi tha
waqt se manzar-e-saffak tarasha na gaya
dida-e-tar mein tere gosha-nashin koi tha
shola-e-fahm tahi-dast bhi hota kaise
mauj-e-idrak ki shah-e-rag ke qarin koi tha
qufl darwaza-e-chahat ka na khola tu ne
tere darbar mein daryuza-jabin koi tha
qatra-e-KHun ki tabish pe shafaq hairan hai
phir hatheli pe liye sham-e-yaqin koi tha
donon aalam ko nikhaara hai zamin par 'amir'
aasman par tha koi zer-e-zamin koi tha
Ghazal
Dasht ke KHema-e-dariya mein makin koi tha
Amir Nazar