dasht-e-wahshat ko phir aabaad karunga ek din
tu na hoga to tujhe yaad karunga ek din
apne hathon se giraftar karunga KHud ko
KHud ko main KHud se phir aazad karunga ek din
aaine se main karunga teri timsal kashid
phir tere aks ko ham-zad karunga ek din
mera dushman kaf-e-afsos malega jaanan
KHud ko is tarah se barbaad karunga ek din
main ye sunta hun ki ye kar-e-mohabbat hai sawab
main bhi is kaam mein imdad karunga ek din
apni har baat pe tanqid karunga KHud hi
apne hi aap pe irad karunga ek din
bhul kar bhi na bhula paegi duniya mujh ko
dekhna wo suKHan ijad karunga ek din
dad KHud denge har ek sher pe 'ghaalib' mujh ko
'mir'-sahib ko bhi ustad karunga ek din
Ghazal
Dasht-e-wahshat ko phir aabaad karunga ek din
Shahid Kamal