dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha
tu ki ek lamha-e-napaid basar karna tha
hum ne kyun aapsi azdad ke nukte DhunDe?
hum ne to KHud ko baham shir-o-shakar karna tha
naqsh banta hi nahin sang-e-samaat pe koi
kund alfaz ko phir tir-o-tabar karna tha
saat-e-dard ki be-chehra o be-nam rahi
qatra-e-ashk ki mahfuz guhar karna tha
tishnagi mahi-e-be-ab si likh honTon par
warna yun bosa-e-saghar se hazar karna tha
mujh pe aayat na koi lafz hi utra 'ahmad'
meri mushkil ki bayan mujh ko safar karna tha
Ghazal
Dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha
Ahmad Shanas