dasht-e-tanhai mein hum KHak uDa dete hain
shab ki KHamoshi mein yaadon ko sada dete hain
din guzarte hain tawaf dar-e-jaanan karte
apni raaton ko bhi aankhon mein ganwa dete hain
raat bhi bit gai tare bhi sab Dub chale
apne ashkon ko bhi palkon mein chhupa dete hain
apne atwar pe nadim na hon mahfil mein aziz
chehre chhup jaen charaghon ko bujha dete hain
tum pareshan ho kyun hum to tumhaari KHatir
ab bhi chaho to har ek baat bhula dete hain
Ghazal
Dasht-e-tanhai mein hum KHak uDa dete hain
Satya Nand Java