dasht-e-tanhai baadal hawa aur main
roz o shab ka yahi silsila aur main
ajnabi raston par bhaTakte rahe
aarzuon ka ek qafila aur main
donon un ki tawajjoh ke haqdar hain
mujh pe guzra tha jo saneha aur main
saikDon gham mere sath chalte rahe
jis ko chhoDa usi ne kaha aur main
raushni aagahi aur zinda-dili
in harifon se tha wasta aur main
der tak mil ke rote rahe rah mein
un se baDhta hua fasla aur main
jab bhi socha to bas sochta rah gaya
zindagani tera marhala aur main
tanz dushnam lanat adawat hasad
in rafiqon ka saya raha aur main
Ghazal
Dasht-e-tanhai baadal hawa aur main
Tabish Mehdi