اردو हिंदी
Dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye | Shaahi Shayari
dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye

Ghazal

Dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye

Abbas Tabish

;

dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye
jo kabhi puri na ho aisi kami ban jaiye

raat-bhar rahiye mere hamrah nindon ki tarah
din chaDhe to lazzat-e-awargi ban jaiye

pahle to mujh ko ata kije wahi chehra mera
wo nahin to phir meri pahchan hi ban jaiye

tair-e-KHasta ki surat aap ko dekha karun
shaKH-e-sidra se utarti raushni ban jaiye

baiThe rahne se to lau dete nahin ye jism-o-jaan
jugnuon ki chaal chaliye raushni ban jaiye