اردو हिंदी
Dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain KHafa humse bahut | Shaahi Shayari
dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain KHafa humse bahut

Ghazal

Dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain KHafa humse bahut

Shahab Jafri

;

dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain KHafa hum se bahut
hum dukhi baiThe hain lag chal na saba hum se bahut

kya hai daman mein ba-juz gard-e-mah-o-sal-e-umid
kyun ulajhti hai zamane ki hawa hum se bahut

ab hum izhaar-e-alam karne lage hain sab se
ab uThai nahin jati hai jafa hum se bahut

kaun mausam hai ki patthar se lahu rista hai
KHun-baha mange hai ab dil ki sada hum se bahut

dad-e-shorida-sari pae jo sar se guzre
dur bhage hai abas mauj-e-bala hum se bahut

kar to den qissa-e-dauran mein tere gham ka bayan
par lahu mange hai ye fikr-e-rasa hum se bahut

chaDhte suraj ke pujari wahi nikle jo 'shahab'
karte the tazkira-e-sidq-o-safa hum se bahut