dasht-e-gham se guzar raha hun main 
tirgi mein nikhar raha hun main 
waqt ne qadr ki nahin warna 
waqt ka ham-safar raha hun main 
bikhra bikhra hun ek muddat se 
rafta rafta sanwar raha hun main 
KHud-numai ki har bulandi se 
zina zina utar raha hun main 
shukr tera ki ai junun-e-safar 
KHud se bhi be-KHabar raha hun main 
nam mera 'kamal' hai lekin 
umr bhar be-asar raha hun main
        Ghazal
Dasht-e-gham se guzar raha hun main
Kamal Jafari

