اردو हिंदी
Dasht-e-dua mein tere parastar rah gae | Shaahi Shayari
dasht-e-dua mein tere parastar rah gae

Ghazal

Dasht-e-dua mein tere parastar rah gae

Jazib Quraishi

;

dasht-e-dua mein tere parastar rah gae
shoalon ke aabshaar mein gulnar rah gae

tere visal-o-hijr gae to gaya magar
teri shabahaton ke sab aazar rah gae

jin par tere gulab se chehre ke aks hain
meri nazar mein wo dar-o-diwar rah gae

wo to amir-e-shahr ki aaghosh mein gaya
us ki gali mein aaina-bardar rah gae

hum ne likhe huruf-e-gham-e-jaan waraq waraq
paDhne ko gesu-o-lab-o-ruKHsar rah gae

zaKHm-e-hunar ke chahne wale nahin rahe
KHush-rang shohraton ke KHaridar rah gae

jalne lage badan to barasne laga lahu
suraj ki rah mein rasan-o-dar rah gae