اردو हिंदी
Dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main | Shaahi Shayari
dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main

Ghazal

Dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main

Alqama Shibli

;

dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main
aur duniya ye samajhti hai ki dariya hun main

tang sahra nazar aaya hai jo phaila hun main
ho gai hai meri taswir jo simTa hun main

justuju jis ki safinon ko rahi hai sadiyon
dosto mere wo be-nam jazira hun main

kis liye mujh pe hai ye sust-rawi ka ilzam
zindagi dekh le KHud tera sarapa hun main

aarzu mere qadam ki thi kabhi rahon ko
aaj lekin dil-e-imkan mein khaTakta hun main

paDh sako gar to khulen tum pe rumuz-e-hasti
waqt ke hath mein ek aisa sahifa hun main

anjuman hun main kabhi zat se apni 'shibli'
aur mahfil mein bhi rah kar kabhi tanha hun main