اردو हिंदी
Daryaft kar ke KHud ko zamane se dur hun | Shaahi Shayari
daryaft kar ke KHud ko zamane se dur hun

Ghazal

Daryaft kar ke KHud ko zamane se dur hun

Ishrat Qadri

;

daryaft kar ke KHud ko zamane se dur hun
har shaKHs ba-shuur hai main be-shuur hun

hijrat mera nasib hai parwaz mashghala
gumbad ke daere mein misal-e-tuyur hun

gandum ki KHushbu raqs mein rakhti hai raat-din
masti-bhari sharab ke nashshe mein chur hun

sadiyon se be-libas darida-badan udas
taswir-e-kaenat mein be-rang-o-nur hun

bosida si kitab ka ek hashiya ho tum
lauh-e-azal pe likkha main bainassutur hun

mera wajud pani hua miTTi aur aag
bikhri hui ana hun sulagta ghurur hun

fard-e-amal nawishta-e-taqdir paDh chuka
KHamosh sar jhukae KHud apne huzur hun

khincha nahin hisar koi apne ird-gird
'ishrat' main apni zat mein tanha zarur hun