darwesh qaid-e-gham mein dil-e-zar ho gaya
aazad ho gaya jo giraftar ho gaya
yusuf bhi lakh jaan se KHaridar ho gaya
tu ghar mein ghul tera sar-e-bazar ho gaya
raKHna tariq-e-ishq mein Dala jo hijr ne
nasur dil ka rauzan-e-diwar ho gaya
qatil ne qatl bhi jo subuk jaan kar kiya
lasha ba-rang-e-ruh subuk-bar ho gaya
ugla jo zahr afi-e-gesu-e-yar ne
har mu-e-mar-e-zulf-e-siyah mar ho gaya
soya hain wasl-e-shauq mein jaga wo naz se
main be-KHabar hua wo KHabar-dar ho gaya
bhaga gaya na lash pe ghash kha ke gir paDa
qatil ye mere KHun mein giraftar ho gaya
ishq-e-sanam gale ka mere haar ho gaya
gardan ka tar rishta-e-zunnar ho gaya
paigham-e-wasl hi mein KHafa yar ho gaya
iqrar ho gaya na kuchh inkar ho gaya
sham-o-sahar chamakne jo dagh-e-jigar laga
KHurshid-e-roz-o-sham-e-shab-tar ho gaya
kar-e-rah-e-KHuda na hua maut aa gai
ghaflat se banda dida-e-bedar ho gaya
qatil jo gul khilane laga shaKH-e-tegh se
maqtal bhi dam mein taKHta-e-gulzar ho gaya
khodi jo nahr kohkan-e-jeb-e-chaak ne
sau ja se TukDe daman-e-kohsar ho gaya
yaad-e-butan se kaba-e-dil but-kada hua
tar-e-nafas bhi rishta-e-zunnar ho gaya
roya tulu-e-mehr-e-tan-e-ghaur par jo 'arsh'
aab-e-rawan se jama-e-zartar ho gaya
Ghazal
Darwesh qaid-e-gham mein dil-e-zar ho gaya
Meer Kallu Arsh