darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui
mere shahr ki shab har chaukhaT ki zanjir hui
sab dhup utar gai TuTi hui diwaron se
magar ek kiran mere KHwabon mein asir hui
mera suna ghar mere sine se lag kar rota hai
mere bhai tumhein is bar bahut taKHir hui
hamein ranj bahut tha dasht ki be-imkani ka
lo ghaib se phir ek shakl zuhur-pazir hui
koi hairat mere lahje ki pahchan bani
koi chahat mere lafzon ki tasir hui
is dard ke qatil-manzar ko ilzam na do
ye to dekhne wali aankhon ki taqsir hui
kisi lashkar se kahin bahta pani rukta hai
kabhi ju-e-rawan kisi zalim ki jagir hui
phir lauh pe luTne wale KHazane likhe gae
mujhe ab ke baras bhi daulat-e-jaan taqdir hui
Ghazal
Darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui
Irfan Siddiqi