darwaze ko piT raha hun paiham chiKH raha hun
andar aa kar khul ja sim-sim kahna bhul gaya hun
khoj mein teri an-gin Tramen aur basen chhani hain
koltar ki saDkon par milon paidal ghuma hun
be-payan aakash ke maqnatisi jal se bach kar
KHauf-zada sa main dharti ke sine se chimTa hun
barson pahle bikhar gai thi TuT ke jo sahra mein
us laDki ke jism ke bikhre TukDon ko chunta hun
man ki kokh se qabr ka rasta dur nahin tha phir bhi
main jiwan ki bhul-bhulayyan se ho kar guzra hun
shayad mera dukh sunne ko wa hon gosh kisi ke
din bhar bahron DonDon ki nagri mein chillata hun

Ghazal
Darwaze ko piT raha hun paiham chiKH raha hun
Sadiq