darwaze ke andar ek darwaza aur
chhupa hua hai mujh mein jaane kya kya aur
koi ant nahin man ke sune-pan ka
sannaTe ke par hai ek sannaTa aur
kabhi to lagta hai jitna hai kafi hai
aur kabhi lagta hai aur zara sa aur
sach kahne par KHush hona to dur raha
kiya zamane ne mujh ko sharminda aur
ajab musafir hun main mera safar ajib
meri manzil aur hai mera rasta aur
auron jaise aur na jaane kitne hain
koi kahan hai lekin mere jaisa aur
Ghazal
Darwaze ke andar ek darwaza aur
Rajesh Reddy