darwaza shahr-e-gul ka hua wa to kya hua
zindan ka dar hai is se ziyaada khula hua
KHas ko hawa nasib hui aur bana KHadang
insan ko iKHtiyar mila aur KHuda hua
tu zindagi ke ruKH pe tabassum ki ek rau
main waqt ki mizha pe ek aansu ruka hua
aasudgi-e-haal ka imkan in dinon
paiwand hai qaba ki shikan mein chhupa hua
kis gham ko ab talluq-e-KHatir ka nam den
ab koi gham nahin hai kisi se chhupa hua
Ghazal
Darwaza shahr-e-gul ka hua wa to kya hua
Mahshar Badayuni