darwaza mayus hai shayad sog mein hai angnai bahut
ek muddat par apne ghar ki aai to yaad aai bahut
main kya jaanun bhed hai kaisa puchho ghaT ke patthar se
dhire dhire aaKHir kaise jam jati hai kai bahut
purab pachchhim uttar dakhkhin har jaanib hai ek hi haal
koi bhi mausam ho gham ki chalti hai purwai bahut
andhe bahre gunge sae KHak mere kaam aaenge
aawazon ke is jangal mein Dasti hai tanhai bahut
kahti hain kuchh aur lakiren lafzon ka mafhum hai aur
chahe jo bhi naqsh ho is mein hoti hai gahrai bahut
pyar sharafat hamdardi isar wafa sachchai KHulus
'raunaq' ye wo lafz hain jin se hoti hai ruswai bahut
Ghazal
Darwaza mayus hai shayad sog mein hai angnai bahut
Raunaq Naeem