darwaza-e-hasti se na imlak se nikla
paigham-e-wafa KHushbu-e-idrak se nikla
phir aaj kuredi gai wo KHak-e-nasheman
phir gauhar-e-maqsud usi KHak se nikla
har bar mujhe mere muqaddar ne sada di
jab bhi koi tara dar-e-aflak se nikla
is bar to majnun ka bharam bhi nahin rakkha
yun mera junun pairhan-e-chaak se nikla
duniya ki zabanon pe rahe KHauf ke tale
bas haq to mere lahja-e-be-bak se nikla
mahsus hua aur bhi hisse hain usi mein
ek purza-e-dil jab KHas-o-KHashak se nikla
Ghazal
Darwaza-e-hasti se na imlak se nikla
Azm Shakri