darun-e-jism ki diwar se ubharti hai
koi lakir hai jo TuTti bikharti hai
main intishaar ki kuchh aur talKHiyan pi lun
zaban-e-shahr nae zaiqon se Darti hai
falak ke darmiyan apni sada karen mahfuz
ki har dariche pe aawaz ja ke marti hai
koi to sarhad-e-KHamosh toD sakta tha
sukut-e-sham yahan tah-ba-tah utarti hai
wo ek shua-e-barahna hai shab ke zine par
so meri aankh bhi is par kahan Thaharti hai
nawah-e-zist ka suraj to Dhal gaya 'amir'
tamiz-e-KHak magar ab bhi raqs karti hai
Ghazal
Darun-e-jism ki diwar se ubharti hai
Amir Nazar