Darta rahta hun ham-nashinon mein
ek patthar hun aabginon mein
baat karna jinhen nahin aati
aaj wo bhi hain nukta-chinon mein
jo bhanwar ko samajhte hain sahil
aise bhi log hain safinon mein
mohtasib gin le ungliyon hi par
chand hi rind hain kaminon mein
KHizr guzre the shahr se apne
hum bhi the ek rah-binon mein
baiat-e-haq ki baat kya karte
hath larzan the aastinon mein
faiz-e-shahr-e-'anis' se 'salik'
sher kahte hain in zaminon mein
Ghazal
Darta rahta hun ham-nashinon mein
Salik Lakhnavi