Darta hun mohabbat mein mera nam na howe
duniya mein ilahi koi badnam na howe
shamshir koi tez si lena mere qatil
aisi na lagana ki mera kaam na howe
gar subh ko main chaak gareban dikhaun
ai zinda-dilan hashr talak sham na howe
aata hai meri KHak pe hamrah-e-raqiban
yani mujhe turbat mein bhi aaram na howe
ji deta hai bose ki tawaqqo pe 'fughan' tu
Tuk dekh le sauda ye tera KHam na howe
Ghazal
Darta hun mohabbat mein mera nam na howe
Ashraf Ali Fughan