dars lenge dil ke ek be-rabt afsane se kya
ahl-e-duniya chahte hain tere diwane se kya
ye jala wo bujh gai aur baat maggham rah gai
shama kahna chahti thi apne parwane se kya
hosh mein hote to us ka jaeza lete zarur
chhoD kar aae hain kya lae hain maiKHane se kya
ab ye haalat hai ki pi kar bhi nahin hota surur
nashsha koi le uDa hai mere paimane se kya
Ghazal
Dars lenge dil ke ek be-rabt afsane se kya
Mahmood Sarosh