اردو हिंदी
Dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya | Shaahi Shayari
dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya

Ghazal

Dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya

Ezaz Afzal

;

dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya
mujh ko manzil pe bhi zalim ne Thaharne na diya

raqs karti rahi tufan mein kashti meri
meri himmat ne mujhe par utarne na diya

zindagi maut se bad-tar thi par ai wada-e-dost
lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diya

multafit kal nazar aati thin nigahen un ki
kahin dhoka to mujhe meri nazar ne na diya

yun to rahne ko pareshani-e-KHatir hi rahi
teri zulfon ko magar main ne bikharne na diya

phul to phul the ai KHana-bar-andaz-e-chaman
tu ne kanTon se bhi daman mujhe bharne na diya

inhin alfaz mein hai meri kahani 'afzal'
gham ne jine na diya shauq ne marne na diya