dars deta hai shakebai ka
wo tera zoam masihai ka
tair-e-did tamashai ka
mo'tarif hai teri girai ka
hai yahi sharh-e-hadis-e-adam
zindagi nam hai ruswai ka
naqs-e-parwaz-e-nazar hai warna
aaina hun teri yaktai ka
ban gaya rah-numa-e-manzil
wo bhaTakna tere saudai ka
teri mahfil ki faza-e-rangin
naqsh jaise koi chughtai ka
ban gaya soz-e-mohabbat 'farhat'
ek harif aatish-e-minai ka

Ghazal
Dars deta hai shakebai ka
Prem Shankar Goila Farhat