darpesh to hain dida-e-hairan hazaron
suraj ka badan tere nigahban hazaron
mayus nahin hain dar-e-zulmat ki fasilen
mana ki munawwar hue aiwan hazaron
khulta hi raha zer-e-nazar rang-e-tamasha
nuqte se tarashe gae imkan hazaron
kab tak main jhaTakta rahunga KHar-e-barahna
daman se hain chaspan gul-e-bohtan hazaron
diwar-e-gham-e-jaan bhi teri KHair nahin hai
mismar hue gumbad-e-paiman hazaron
jab dast-e-tamazat ne kiya ret ko gulbun
dar-chashm utar aae bayaban hazaron
ek shab ke sitaron se nahin thi meri nisbat
'amir' abhi tabinda hain pahchan hazaron
Ghazal
Darpesh to hain dida-e-hairan hazaron
Amir Nazar