darpan diya hun dil ka main us dilruba ke hath
darpan mein wo piya hai wo darpan piya ke hath
us qibla-ru ki dekh ke mehrab-e-abr wan
saf bandh khul rahe hain mizha jiyun dua ke hath
har waqt be-hijab ho kyunkar kare nigah
hai iKHtiyar chashm-e-piya ka haya ke hath
kis rang sun lage hai kaf-e-pa kun shoKH ki
dil KHun ho raha hai hamara hina ke hath
gulgun qaba na mar taghaful ki tegh sun
hai qatl aashiqan ka teri yak ada ke hath
barja hai barg-e-gul sun kafan us kun hue nasib
jo kui hua shahid wo gul-gun qaba ke hath
hai chaak chaak ghuncha-e-dil aaj aah sun
jyun chaak-e-pairahan kun kiya gul saba ke hath
kahte hain aashiqan yu mera haal dekh kar
shayad tun dil diya hai kisi bewafa ke hath
darkar nin hai mujh kun kabutar ki qasidi
bheja hun gul-badan kun main nama saba ke hath
Ghazal
Darpan diya hun dil ka main us dilruba ke hath
Daud Aurangabadi