darpai-e-umr-e-rafta hun yarab 
har-dam az-KHud guzishta hun yarab 
kya hun maqbul-e-tab-e-ahl-e-suKHan 
ek mazmun-e-basta hun yarab 
kya dikhaun main apne jauhar aah 
shakl-e-tegh-e-shikasta hun yarab 
apni kam-fursati kahun kya aah! 
aah az-sina jasta hun yarab 
pani pani hun jis ko dekh jahim 
soz-e-gham se wo tafta hun yarab 
dekho kya ho ki wan hai naz-e-ghurur 
main ye ahwal-e-KHasta hun yarab
 
        Ghazal
Darpai-e-umr-e-rafta hun yarab
Jurat Qalandar Bakhsh

