daron ko chunta hun diwar se nikalta hun
main KHud ko jit ke is haar se nikalta hun
tujhe shanaKHt nahin hai mere lahu ki kya
main roz subh ke aKHbar se nikalta hun
meri talash mein us par log jate hain
magar main Dub ke is par se nikalta hun
ajib KHauf hai donon ko kya kiya jae
main qad mein apne hi sardar se nikalta hun
ab aage faisla qismat pe chhoD ke main bhi
tilism-e-sabit-o-sayyar se nikalta hun
suni hai main ne kisi samt se wahi aawaz
suno main gardish-e-parkar se nikalta hun
meri talash mein wo bhi zarur aaega
so main bhi chashm-e-KHaridar se nikalta hun
natija jo bhi ho ja-e-aman mile na mile
main ab KHaraba-e-purkar se nikalta hun
Ghazal
Daron ko chunta hun diwar se nikalta hun
Shoaib Nizam