darogh ke imtihan-kade mein sada yahi karobar hoga
jo baDh ke taid-e-haq karega wahi sazawar-e-dar hoga
bila-gharaz sada sada baaton se Dal den rasm dosti ki
jo silsila is tarah chalega wo laziman paedar hoga
chalo mohabbat ki be-KHudi ke hasin KHalwat-kade mein baiThen
ajib masrufiyat rahegi na ghair hoga na yar hoga
tere gulistan ki aabru hai mahak teri infiradiyat ki
tu kasmapursi se bujh bhi jae to ghairat-e-nau-bahaar hoga
jahan na tu ho na koi hamdard ho na koi sharif dushman
main sochta hun mujhe wo mahaul kis tarah sazgar hoga
bahisht mein bhi janab-e-zahid tumhein na tarjih mil sakegi
wahan bhi KHush-zauq aasiyon ka tapak se intizar hoga
'adam' ki shab-KHeziyon ke ahwal yun sunate hain us ke mahram
ki sunne wale ye man jaen koi tahajjud-guzar hoga
Ghazal
Darogh ke imtihan-kade mein sada yahi karobar hoga
Abdul Hamid Adam