darmiyan-e-jism-o-jaan hai ek ajab surat ki aaD
mujh ko dil ki dil ko hai meri ananiyat ki aaD
aa gaya tark-e-KHudi ka gar kabhi bhule se dhyan
dil ne paida ki har ek jaanib se har surat ki aaD
dete hain dil ke ewaz wo dard bahr-e-imtihan
lete hain nam-e-KHuda apni tamaniyyat ki aaD
nafs-parwar karte hain badnam nam-e-mai-kashi
parda-e-pindar mein lete hain kaifiyyat ki aaD
parda-dari chashm-e-na-mahram se thi madd-e-nazar
darmiyan mein Dal di hai nur ne hairat ki aaD
didani jo kuchh hai jalwa dekh chashm-e-pak mein
nur ne wahdat mein rah kar li hai kyun kasrat ki aaD
jab nihan-o-ashkara jalwa-e-jaanana hai
sab riya-kari hai sahir KHalwat-o-jalwat ki aaD

Ghazal
Darmiyan-e-jism-o-jaan hai ek ajab surat ki aaD
Sahir dehlavi