اردو हिंदी
Darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi | Shaahi Shayari
darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi

Ghazal

Darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi

Atif Khan

;

darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi
hai KHud apne liye hi azab aadmi

ye zamin jis KHata ki bani thi saza
main wahi to hun KHana-KHarab aadmi

hal muamme ka jaise muamma koi
bas ki hai aadmi ka jawab aadmi

dekh be-saKHta aks ghabra gaya
shishe ke samne be-hijab aadmi

falsafa bhi KHudi falsafi bhi KHudi
aap talib hai aap hi kitab aadmi

hashiya hai kabhi aur kabhi rang hai
jaise jam aadmi aur sharab aadmi

maut de bhi gai hai jawab-e-azal
aur khaDa rah gaya la-jawab aadmi

mujh se jal-thal hua hai mera andarun
main ne kar hi diya be-naqab aadmi