اردو हिंदी
Darmiyan aa rahi hai nafrat kyun | Shaahi Shayari
darmiyan aa rahi hai nafrat kyun

Ghazal

Darmiyan aa rahi hai nafrat kyun

Marghoob Asar Fatmi

;

darmiyan aa rahi hai nafrat kyun
jab gale mil gae shikayat kyun

aadmi tum bhi aadmi hum bhi
phir hui KHatm aadamiyat kyun

ho gaya ishq aap ko shayad
umr is mein nai musibat kyun

kaun rakh paya mal-o-daulat ko
jaane wale se ye mohabbat kyun

thak gaya hai mera sitamgar kya
sans le lene ki ijazat kyun

sab ki maen bhi beTiyan hi thin
aaj beTi bani musibat kyun

aap ka sher bolta hai 'asar'
KHud-satai ki phir zarurat kyun