dariyaon ko haal suna kar raqs kiya
sahraon ki KHak uDa kar raqs kiya
qais tumhaari sunnat aise zinda ki
hathon mein kashkol uTha kar raqs kiya
qais mujhe is baat pe hairat hoti hai
tu ne kaise dasht mein ja kar raqs kiya
un logon ki haalat dekhne wali thi
jin logon ne wajd mein aa kar raqs kiya
jab meri aawaz na kanon tak pahunchi
phir main ne tahrir mein aa kar raqs kiya
nili chhat pe la-mahdud parinde the
aaj kisi ne ashk baha kar raqs kiya
bhed khula jis shaKHs pe tere hone ka
us ne tere qurb ko pa kar raqs kiya
chhan chhana chhan chhan chhan chhan ki aai sada
ghunghru pahne hosh ganwa kar raqs kiya
'mustahsan' main 'jami' hun 'mansur' nahin
dilbar ko ashaar suna kar raqs kiya

Ghazal
Dariyaon ko haal suna kar raqs kiya
Mohammad Mustahsan Jami