dariyaon ka sahraon mein bahna mera qissa
qisse mein koi baat na kahna mera qissa
tha harf-e-malamat wo mera kaghzi malbus
logon ne magar shauq se pahna mera qissa
chalne do mujhi par meri aawaz ke nashtar
tum apni samaat pe na sahna mera qissa
poshak badalta raha badli jo kabhi rut
main phir bhi barahna hun barahna mera qissa
main zinda hun tujh se teri zebaishen mujh se
ye nur ka haala tera gahna mera qissa
lab kholti kaliyon ka qarina teri guftar
baaton ki mahak oDhte rahna mera qissa

Ghazal
Dariyaon ka sahraon mein bahna mera qissa
Rasheed Qaisrani