اردو हिंदी
Dariya tufan bah raha hai | Shaahi Shayari
dariya tufan bah raha hai

Ghazal

Dariya tufan bah raha hai

Hatim Ali Mehr

;

dariya tufan bah raha hai
aankhon ka ajib majra hai

zahid ko ghurur zohd ka hai
rindon ko KHuda ka aasra hai

zikr un ke dahan ka ja-ba-ja hai
hai kuchh bhi nahin ye baat kya hai

diwar ka un ki saya Thahra
ek ye bhi saadat-e-huma hai

ham-chashmi aur un ki ankhDiyon se
nargis tujhe kuchh bhi sujhta hai

panw ke hamare go kharosi
ek ek kanTa khaTak gaya hai

ulfat hai khuli hui buton se
allah se 'mehr' kya chhupa hai