اردو हिंदी
Dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama | Shaahi Shayari
dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama

Ghazal

Dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama

Nazeer Akbarabadi

;

dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama
dekha to har makan mein wahi hai raha sama

hai kaun si wo chashm nahin jis mein us ka nur
hai kaun sa wo dil ki nahin jis mein us ki ja

qumri usi ki yaad mein ku-ku kare hai yar
bulbul usi ke shauq mein karti hai chahchaha

muflis kahin gharib tawangar kahin ghani
aajiz kahin nibal kahin sultan kahin gada

bahrup sa bana ke har ek ja wo aan aan
kis kis tarah ke rup badalta hai wah-wa

mulk-e-raza mein kar ke tawakkul ki jins ko
baiThen hain sab isi ki dukanen laga laga

sab ka isi dukan se jari hai karobar
leta hai koi husn koi dil hai bechta

dekha jo KHub ghaur se hum ne to yan 'nazir'
bazar-e-mustafa hai KHaridar hai KHuda