اردو हिंदी
Dariya mein hai sarab ajab ibtila mein hun | Shaahi Shayari
dariya mein hai sarab ajab ibtila mein hun

Ghazal

Dariya mein hai sarab ajab ibtila mein hun

Ibraheem Hosh

;

dariya mein hai sarab ajab ibtila mein hun
main bhi husain hi ki tarah karbala mein hun

Tikte nahin kahin bhi qadam aarzuon ke
phenka hai jab se teri zamin ne KHala mein hun

aawaz kab se deta tha hirman-nasib dil
ab aai hai to gharq nashat-e-bala mein hun

kya farz hai ki isa-o-mariyam dikhai de
maslub dard chiKHe ki main ibtila mein hun

har lahza inhidam ka hai KHauf mujh ko 'hosh'
main is dayar-e-shor-o-shar-e-zalzala mein hun