dariya mein bahut kuchh hai rawani ke alawa
muddat se main sairab hun pani ke alawa
ai shahr-e-sitam-zad teri umr baDi ho
kuchh aur bata naql-e-makani ke alawa
iman-shikan paikar-e-doshiza-e-alam
sab kuchh hai tere pas jawani ke alawa
kis ahd-e-gunahgar ne li aaKHiri hichki
masruf hain sab fatiha-KHwani ke alawa
rangon ko baratne ka hunar sikh chuka hun
kya chahiye ab teri nishani ke alawa
duniya se talluq ka sabab kis ko bataun
ab dost kahan dushman-e-jaani ke alawa
kya dun tujhe jati hui jaan-baz bahaaro
kuchh pas nahin barg-e-KHizani ke alawa
har shaKHs mudawa hai aqidat se hai be-zar
mohlat hai kise pir-e-mughani ke alawa
ashaar kahan dete hain munh dekhi gawahi
'KHurshid' kahan nur-e-maani ke alawa
Ghazal
Dariya mein bahut kuchh hai rawani ke alawa
Khursheed Akbar